ye rang-o-nur bhala kab kisi ke hath aae
ye rañg-o-nūr bhalā kab kisī ke haath aa.e
kidhar chale haiñ añdhere ye haath phailā.e
ḳhudā kare koī sham.eñ liye chalā aa.e
dhaḌak rahe haiñ mere dil meñ shaam ke saa.e
bujhā na sub.h ko bhī vo charāġh-e-lāla-rukHāñ
jo shām-e-husn meñ nazroñ se ham jalā aa.e
maiñ apne ahd meñ sham'-e-mazār ho ke rahā
kabhī na dekh sake mujh ko mere ham-sā.e
kahāñ vo aur kahāñ merī pur-ḳhatar rāheñ
magar vo phir bhī mere saath duur tak aa.e
chale chalo ki batā degī raah ḳhud raste
kahāñ hai vaqt ki koī kisī ko samjhā.e
maiñ apne dil ko to taskīn de bhī luuñ 'maikash'
vo muztarib haiñ bahut kaun un ko samjhā.e
haram kī aabrū ham ne bahut rakhī phir bhī
ka.ī charāġh sanam-ḳhāne meñ jalā aa.e
samajh ke ġhair vo ḳhush haiñ tabāh karke hameñ
aur ek ham haiñ ki ye baat kah ke sharmā.e
ye rang-o-nur bhala kab kisi ke hath aae
kidhar chale hain andhere ye hath phailae
KHuda kare koi shamen liye chala aae
dhaDak rahe hain mere dil mein sham ke sae
bujha na subh ko bhi wo charagh-e-lala-rukHan
jo sham-e-husn mein nazron se hum jala aae
main apne ahd mein sham'-e-mazar ho ke raha
kabhi na dekh sake mujh ko mere ham-sae
kahan wo aur kahan meri pur-KHatar rahen
magar wo phir bhi mere sath dur tak aae
chale chalo ki bata degi rah KHud raste
kahan hai waqt ki koi kisi ko samjhae
main apne dil ko to taskin de bhi lun 'maikash'
wo muztarib hain bahut kaun un ko samjhae
haram ki aabru hum ne bahut rakhi phir bhi
kai charagh sanam-KHane mein jala aae
samajh ke ghair wo KHush hain tabah karke hamein
aur ek hum hain ki ye baat kah ke sharmae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.