ye sikha muddat ke baad ishq-e-butan mein dhoke uTha-uTha kar
ye sikha muddat ke baad ishq-e-butan mein dhoke uTha-uTha kar
Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
ye sīkhā muddat ke baa'd 'ishq-e-butāñ meñ dhoke uThā-uThā kar
ki aaj se dil diyā kareñge sitam-shi'āroñ ko aazmā kar
na thā muqaddar meñ shaad honā usī kā ġham hai usī kā ronā
kabhī hamārī taraf na dekhā hamāre ḳhush-ḳhū ne muskurā kar
koī hai teġh-e-adā kā ghā.il koī hai sūrat pe terī maa.il
kiyā hai 'ālam ko tū ne bismil jamāl apnā dikhā-dikhā kar
ziyāda samjhā na mujh ko vā'iz terī nasīhat na maiñ sunūñgā
bhalā butoñ se karūñ kināra ḳhudā-ḳhudā kar ḳhudā-ḳhudā kar
tumhārā jalva hai chaar jānib tum hī batāo kahāñ nahīñ ho
qasam ḳhudā kī maiñ dekh aayā tum hī ko dair-o-haram meñ jā kar
lahad pe aayā jo baa'd murdan lagā ke Thokar ye bolā pur-fan
usī pe dā'va thā 'āshiqī kā ki bhāge duniyā se muñh chhupā kar
kahīñ na apnī ye kaifiyat ho ki shakl-e-mansūr bol uTThūñ
kiyā hai matvālā tū ne saaqī sharāb-e-vahdat pilā-pilā kar
koī hai dīvāna koī majnūñ tamām 'ālam hai terā maftūñ
ḳhudā bhī pachhtātā hogā ai but hasīñ-o-kHush-rū tujhe banā kar
jamāl-e-vāris hai ham ne dekhā liyā hai bosa bhī sañg-e-dar kā
hamārā kā'ba sanam kā ghar hai tavāf karatā huuñ jis kā jā kar
na pūchho lillāh dīñ-o-īmāñ huā huuñ banda maiñ ek but kā
hamesha 'aughaT' karūñgā sajda usī ko apnā ḳhudā banā kar
ye sikha muddat ke ba'd 'ishq-e-butan mein dhoke uTha-uTha kar
ki aaj se dil diya karenge sitam-shi'aron ko aazma kar
na tha muqaddar mein shad hona usi ka gham hai usi ka rona
kabhi hamari taraf na dekha hamare KHush-KHu ne muskura kar
koi hai tegh-e-ada ka ghail koi hai surat pe teri mail
kiya hai 'alam ko tu ne bismil jamal apna dikha-dikha kar
ziyaada samjha na mujh ko wa'iz teri nasihat na main sununga
bhala buton se karun kinara KHuda-KHuda kar KHuda-KHuda kar
tumhaara jalwa hai chaar jaanib tum hi batao kahan nahin ho
qasam KHuda ki main dekh aaya tum hi ko dair-o-haram mein ja kar
lahad pe aaya jo ba'd murdan laga ke Thokar ye bola pur-fan
usi pe da'wa tha 'ashiqi ka ki bhage duniya se munh chhupa kar
kahin na apni ye kaifiyat ho ki shakl-e-mansur bol uTThun
kiya hai matwala tu ne saqi sharab-e-wahdat pila-pila kar
koi hai diwana koi majnun tamam 'alam hai tera maftun
KHuda bhi pachhtata hoga ai but hasin-o-kHush-ru tujhe bana kar
jamal-e-waris hai hum ne dekha liya hai bosa bhi sang-e-dar ka
hamara ka'ba sanam ka ghar hai tawaf karata hun jis ka ja kar
na puchho lillah din-o-iman hua hun banda main ek but ka
hamesha 'aughaT' karunga sajda usi ko apna KHuda bana kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.