ye teri jalwa-gariyan aankhon mein chha rahi hain
ye teri jalwa-gariyan aankhon mein chha rahi hain
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ye terī jalva-gariyāñ āñkhoñ meñ chhā rahī haiñ
pyāre adā.eñ terī dil meñ samā rahī haiñ
ġhamza ke lashkaroñ ko apnā hī tantana hai
saj-dhaj jo dekho apnī naubat bajā rahī haiñ
tarf-e-chaman huā hai shāyad guzar tumhārā
jo aaj andalībeñ dhūmeñ machā rahī haiñ
khul jaa.eñ terī nargis āñḳheñ jo dekhe us ko
jab tak nahīñ hai dekhā bāteñ banā rahī haiñ
mehrāb-e-sajda kahiye yā teġh in bhavoñ ko
lākhoñ hī sar jo aage apne jhukā rahī haiñ
e.ajāz kar rahī haiñ nāz-o-adā.en terī
vo qatl kar rahī haiñ aur ye jilā rahī haiñ
bhātā nahīñ hai koī tujh bin 'niyāz' ko ab
terī hī pyārī bāteñ us ko to bhā rahī haiñ
kyūñkar 'niyāz' maane auroñ kī ḳhush-kalāmī
us ko to pyārī bāteñ pyāre kī bhā rahī hiiñ
ye teri jalwa-gariyan aankhon mein chha rahi hain
pyare adaen teri dil mein sama rahi hain
ghamza ke lashkaron ko apna hi tantana hai
saj-dhaj jo dekho apni naubat baja rahi hain
tarf-e-chaman hua hai shayad guzar tumhaara
jo aaj andaliben dhumen macha rahi hain
khul jaen teri nargis aanKHen jo dekhe us ko
jab tak nahin hai dekha baaten bana rahi hain
mehrab-e-sajda kahiye ya tegh in bhawon ko
lakhon hi sar jo aage apne jhuka rahi hain
eajaz kar rahi hain naz-o-adaen teri
wo qatl kar rahi hain aur ye jila rahi hain
bhata nahin hai koi tujh bin 'niyaz' ko ab
teri hi pyari baaten us ko to bha rahi hain
kyunkar 'niyaz' mane auron ki KHush-kalami
us ko to pyari baaten pyare ki bha rahi hin
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 147)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.