din ko hain chhoD ke duniya mein giraftar abhi
diiñ ko haiñ chhoḌ ke duniyā meñ giraftār abhī
ḳhvāb-e-ġhaflat meñ magan qaum ke sardār abhī
pārsāoñ ke bhī chehre kī uḌā dī rañgat
jaane kyā kah ke gayā un se gunahgār abhī
zindagī hai to sadāqat kī himāyat meñ marv
chaḌh ke neze pe sunānā hai ye ash.ār abhī
husn-e-yūsuf ne zuleḳhā se kahā thā ik din
jazba-e-ishq ko ik aañch hai darkār abhī
sabr karte haiñ tire zulm-o-sitam sahte haiñ
hikmatan karte nahīñ tujh pe palaT-vār abhī
raqs karte hai amīroñ ke ishāroñ pe yahāñ
taḳht-e-shāhī kī tavā.if-numā sarkār abhī
ruk hī jaanā hai 'adīb' us ko achānak ik din
jaarī hai jism meñ sāñsoñ kī jo raftār abhī
din ko hain chhoD ke duniya mein giraftar abhi
KHwab-e-ghaflat mein magan qaum ke sardar abhi
parsaon ke bhi chehre ki uDa di rangat
jaane kya kah ke gaya un se gunahgar abhi
zindagi hai to sadaqat ki himayat mein marw
chaDh ke neze pe sunana hai ye ashaar abhi
husn-e-yusuf ne zuleKHa se kaha tha ek din
jazba-e-ishq ko ek aanch hai darkar abhi
sabr karte hain tere zulm-o-sitam sahte hain
hikmatan karte nahin tujh pe palaT-war abhi
raqs karte hai amiron ke ishaaron pe yahan
taKHt-e-shahi ki tawaif-numa sarkar abhi
ruk hi jaana hai 'adib' us ko achanak ek din
jari hai jism mein sanson ki jo raftar abhi
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 321)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.