yusuf phansa paDa tha zulaiKHa ki chah mein
yusuf phansa paDa tha zulaiKHa ki chah mein
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
yūsuf phañsā paḌā thā zulaiḳhā kī chaah meñ
yāqūb jhāñkte the kueñ shāh-rāh meñ
kis tarah kahiye us ko bhalā sāya-e-ḳhudā
gar 'adl vajūd-e-mohar na ho bādshāh meñ
duniyā kī saltanat ko samajhte haiñ yuuñ faqr
naushā kabhī bane koī jaise biyāh meñ
hushiyār mai-kade meñ na paayā kisī ko aah
be-ḳhud koī nazar na paḌā ḳhānqāh meñ
taqvā par apne tujhe is tarah hai zauq
fāsiq ko jaise miltī hai lazzat gunāh meñ
ik roz jā ke dar pe ḳharābāt ke to baiTh
kab tak phañsā degā mashīḳhat kī chaah meñ
'āshiq kā haal yaar kisī din to pūchhtā
tāsīr hotī kuchh bhī agar us kī aah meñ
’irfān-e-haq se jis kī huī nazar buland
haft-āsmān past haiñ us kī nigāheñ
yaañ kyuuñ na zikr-e-yār hamesha rahe 'turāb'
karatā huuñ nafī ġhair meñ har lā-ilāh meñ
yusuf phansa paDa tha zulaiKHa ki chah mein
yaqub jhankte the kuen shah-rah mein
kis tarah kahiye us ko bhala saya-e-KHuda
gar 'adl wajud-e-mohar na ho baadshah mein
duniya ki saltanat ko samajhte hain yun faqr
nausha kabhi bane koi jaise biyah mein
hushiyar mai-kade mein na paya kisi ko aah
be-KHud koi nazar na paDa KHanqah mein
taqwa par apne tujhe is tarah hai zauq
fasiq ko jaise milti hai lazzat gunah mein
ek roz ja ke dar pe KHarabaat ke to baiTh
kab tak phansa dega mashiKHat ki chah mein
'ashiq ka haal yar kisi din to puchhta
tasir hoti kuchh bhi agar us ki aah mein
’irfan-e-haq se jis ki hui nazar buland
haft-asman past hain us ki nigahen
yan kyun na zikr-e-yar hamesha rahe 'turab'
karata hun nafi ghair mein har la-ilah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.