zahid kahun kya tujhse ki hun ab main kidhar ka
zahid kahun kya tujhse ki hun ab main kidhar ka
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
zāhid kahūñ kyā tujh se ki huuñ ab maiñ kidhar kā
āfat-zada huuñ yaar idhar kā na udhar kā
kis taur dil us ḳhanjar-e-mizhgāñ kī sipar ho
maqdūr jahāñ ho na qazā kā na qadar kā
gulzār meñ duniyā ke huuñ jo naḳhl-e-bhuchampā
ḳhvāhish na samar kī na miyāñ ḳhauf qahr kā
maiñ haath meñ huuñ baad ke mānind-e-par-e-kāh
pāband na ghar kā huuñ na mushtāq safar kā
us se jo kiyā 'ishq' kā mazkūr kisī ne
bolā ki abas zikr hai us ḳhāk-basar kā
zahid kahun kya tujh se ki hun ab main kidhar ka
aafat-zada hun yar idhar ka na udhar ka
kis taur dil us KHanjar-e-mizhgan ki sipar ho
maqdur jahan ho na qaza ka na qadar ka
gulzar mein duniya ke hun jo naKHl-e-bhuchampa
KHwahish na samar ki na miyan KHauf qahr ka
main hath mein hun baad ke manind-e-par-e-kah
paband na ghar ka hun na mushtaq safar ka
us se jo kiya 'ishq' ka mazkur kisi ne
bola ki abas zikr hai us KHak-basar ka
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 4)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.