zaban hi pe hai bas kalam-e-mohabbat
zaban hi pe hai bas kalam-e-mohabbat
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
zabāñ hī pe hai bas kalām-e-mohabbat
mohabbat nahīñ ye hai nām-e-mohabbat
'atā kar ilāhī ba-nām-e-mohabbat
kamāl-e-mohabbat davām-e-mohabbat
shakar-ranjiyāñ talḳh kām-e-mohabbat
zarūrī haiñ bahr-e-qiyām-e-mohabbat
are ik nazar is taraf bhī ḳhudārā
ba-pās-e-muravvat ba-nām-e-mohabbat
mohabbat ke badle mohabbat sitam hai
na le uff na le intiqām-e-mohabbat
zabāñ se vo kuchh hī kahe jaa.eñ lekin
nigah de rahī hai payām-e-mohabbat
chaḌheñ daar par yā chaḌheñ tuur par ham
rasā.ī se baalā hai bām-e-mohabbat
na hogā abad tak bhī puurā na hogā
mirā qissa-e-nā-tamām-e-mohabbat
bahut duur pahūñchā hai majzūb phir bhī
bahut duur abhī hai maqām-e-mohabbat
jo majzūb kā hai kalām-e-mohabbat
vo duniyā ko hai ik payām-e-mohabbat
ye thā kaun ġhārat-gar-e-dīn-o-īmāñ
are le diyā kis ne nām-e-mohabbat
kahāñ un kī bazm-e-tarab ke huuñ qābil
maiñ shorīda-sar talḳh kām-e-mohabbat
mohabbat ko lāzim haiñ rusvā.iyāñ bhī
muhib hī nahīñ nek nām-e-mohabbat
jo 'majzūb' ke haath meñ haath de do
to hoñ dam meñ tai sab maqām-e-mohabbat
zaban hi pe hai bas kalam-e-mohabbat
mohabbat nahin ye hai nam-e-mohabbat
'ata kar ilahi ba-nam-e-mohabbat
kamal-e-mohabbat dawam-e-mohabbat
shakar-ranjiyan talKH kaam-e-mohabbat
zaruri hain bahr-e-qiyam-e-mohabbat
are ek nazar is taraf bhi KHudara
ba-pas-e-murawwat ba-nam-e-mohabbat
mohabbat ke badle mohabbat sitam hai
na le uff na le intiqam-e-mohabbat
zaban se wo kuchh hi kahe jaen lekin
nigah de rahi hai payam-e-mohabbat
chaDhen dar par ya chaDhen tur par hum
rasai se baala hai baam-e-mohabbat
na hoga abad tak bhi pura na hoga
mera qissa-e-na-tamam-e-mohabbat
bahut dur pahuncha hai majzub phir bhi
bahut dur abhi hai maqam-e-mohabbat
jo majzub ka hai kalam-e-mohabbat
wo duniya ko hai ek payam-e-mohabbat
ye tha kaun ghaarat-gar-e-din-o-iman
are le diya kis ne nam-e-mohabbat
kahan un ki bazm-e-tarab ke hun qabil
main shorida-sar talKH kaam-e-mohabbat
mohabbat ko lazim hain ruswaiyan bhi
muhib hi nahin nek nam-e-mohabbat
jo 'majzub' ke hath mein hath de do
to hon dam mein tai sab maqam-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.