zaban se meri kya nikla tum aise sar-garan kyun ho
zaban se meri kya nikla tum aise sar-garan kyun ho
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
zabāñ se merī kyā niklā tum aise sar-garāñ kyuuñ ho
ḳhamoshī jab bayāñ ho shikva-e-tarz-e-bayāñ kyuuñ ho
tumhāre husn kā qissa ho yā merī mohabbat kā
jise dil meñ chhupā.eñ ham vo zeb-e-dāstāñ kyuuñ ho
tirī āmādgī qātil tabassum hai mohabbat kā
tavajjoh gar nahīñ muzmar to qasd-e-imtihāñ kyuuñ ho
agar miTnā musallam hai to tujh par kyuuñ na miT jaaye
tire hote hue āḳhir ye duniyā rā.egāñ kyuuñ ho
agar masrūr ho dil se to kyuuñ bezār ho mujh se
agar bezār ho mujh se to dil meñ mehmāñ kyuuñ ho
yaqīñ kyā ho gayā tum ko mire duniyā se jaane kā
nahīñ to ye batā do aaj itne mehrbāñ kyuuñ ho
vo hastī jis ko kahiye ’ishq ’aks-e-husn-e-zātī hai
nahīñ jab darmiyāñ 'maikash' to us se bad-gumāñ kyuuñ ho
zaban se meri kya nikla tum aise sar-garan kyun ho
KHamoshi jab bayan ho shikwa-e-tarz-e-bayan kyun ho
tumhaare husn ka qissa ho ya meri mohabbat ka
jise dil mein chhupaen hum wo zeb-e-dastan kyun ho
teri aamadgi qatil tabassum hai mohabbat ka
tawajjoh gar nahin muzmar to qasd-e-imtihan kyun ho
agar miTna musallam hai to tujh par kyun na miT jaye
tere hote hue aaKHir ye duniya raegan kyun ho
agar masrur ho dil se to kyun bezar ho mujh se
agar bezar ho mujh se to dil mein mehman kyun ho
yaqin kya ho gaya tum ko mere duniya se jaane ka
nahin to ye bata do aaj itne mehrban kyun ho
wo hasti jis ko kahiye ’ishq ’aks-e-husn-e-zati hai
nahin jab darmiyan 'maikash' to us se bad-guman kyun ho
- Book : Maikada (Pg. 44)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.