kahte hain ye sufi ki hai firdaus-e-haq us ka
kahte haiñ ye suufī ki hai firdaus-e-haq us kā
jis par ho shakar-ganj kī dīvār kā saaya
lekin hai payambar kā ye irshād ki jannat
miltī hai use jis pe ho talvār kā saaya
suufī hai vahī jis ko ḳhudā se ho sarokār
suufī vo nahīñ jis pe ho sarkār kā saaya
ai golḌah ke piir na Dar dār-o-rasan se
jab ḳhud sar-e-mansūr pe hai daar kā saaya
allāh kā saaya hai zamīñdār ke sar par
punjab ke sar par hai zamīñdār kā saaya
kahte hain ye sufi ki hai firdaus-e-haq us ka
jis par ho shakar-ganj ki diwar ka saya
lekin hai payambar ka ye irshad ki jannat
milti hai use jis pe ho talwar ka saya
sufi hai wahi jis ko KHuda se ho sarokar
sufi wo nahin jis pe ho sarkar ka saya
ai golDah ke pir na Dar dar-o-rasan se
jab KHud sar-e-mansur pe hai dar ka saya
allah ka saya hai zamindar ke sar par
punjab ke sar par hai zamindar ka saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.