use bhi meri mohabbat pe etibar nahin
use bhī merī mohabbat pe e'tibār nahīñ
ye soch soch ke dil ko mere qarār nahīñ
use bhī chhoḌ ke uḌ jā kahīñ tū ai bulbul
tire liye to ye gulshan bhī sāzgār nahīñ
lahū lahū hai jigar chaak chaak dil lekin
qabā-e-sabr-o-shakebā.ī tār-tār nahīñ
bahut dinoñ se tirī yaad bhī nahīñ aatī
bahut dinoñ se mujhe terā intizār nahīñ
uḌā na mere dil-e-nā-murād kī tū hañsī
mere nasīb meñ sar-mastī-e-bahār nahīñ
use bhulā.ūñ to kaise 'zafar' bhulā.ūñ maiñ
ki apne aap ye mujh ko aab iḳhtiyār nahīñ
use bhi meri mohabbat pe e'tibar nahin
ye soch soch ke dil ko mere qarar nahin
use bhi chhoD ke uD ja kahin tu ai bulbul
tere liye to ye gulshan bhi sazgar nahin
lahu lahu hai jigar chaak chaak dil lekin
qaba-e-sabr-o-shakebai tar-tar nahin
bahut dinon se teri yaad bhi nahin aati
bahut dinon se mujhe tera intizar nahin
uDa na mere dil-e-na-murad ki tu hansi
mere nasib mein sar-masti-e-bahaar nahin
use bhulaun to kaise 'zafar' bhulaun main
ki apne aap ye mujh ko aab iKHtiyar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.