ai dost hum pe jab se tera iltifat hai
ai dost ham pe jab se tirā iltifāt hai
har ġham se be-niyāz hamārī hayāt hai
kam-kam hai āsmān ke tāroñ meñ raushnī
shāyad sahar qarīb hai thoḌī sī raat hai
hai kis liye udaas chaman kī kalī kalī
kyā baat hai ki zard har ik phuul paat hai
iz.hār-e-hāl dil pe bhalā kyuuñ ḳhafā hai tū
terā gila nahīñ hai zamāne kī baat hai
ik terā ġham hī ishq kī taqdīr meñ nahīñ
ham-rāh tere ġham ke ġham-e-kā.enāt hai
kyuuñ dhuum sī mache na mere dil meñ ai 'zafar'
aa.ī shab-e-firāq ġhamoñ kī barāt hai
ai dost hum pe jab se tera iltifat hai
har gham se be-niyaz hamari hayat hai
kam-kam hai aasman ke taron mein raushni
shayad sahar qarib hai thoDi si raat hai
hai kis liye udas chaman ki kali kali
kya baat hai ki zard har ek phul pat hai
izhaar-e-haal dil pe bhala kyun KHafa hai tu
tera gila nahin hai zamane ki baat hai
ek tera gham hi ishq ki taqdir mein nahin
ham-rah tere gham ke gham-e-kaenat hai
kyun dhum si mache na mere dil mein ai 'zafar'
aai shab-e-firaq ghamon ki baraat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.