aap jab tak the na nazdik-e-dil-o-jaan itne
aap jab tak the na nazdīk-e-dil-o-jāñ itne
ham na rahte the mohabbat meñ pareshāñ itne
ye tavaqqo.a thī kise shām-e-alam se pahle
ye mire zaḳhm-e-jigar hoñge numāyāñ itne
us meñ sāzish to raqīboñ kī yaqīnan hogī
vo na rahte the kabhī ham se gurezāñ itne
un ko nisbat jo nahīñ ḳhāna-ḳharābī se mirī
kyuuñ hasīñ lagne lage mujh ko bayābāñ itne
oḌhe rahte the hamesha hī ridā-e-tahzīb
mausam-e-gul se vo pahle the na ’uryāñ itne
tujh se kyuuñ hotī bhalā koī shikāyat ham ko
ham tire ġham meñ uThā.e jo na nuqsāñ itne
tīrgī ġham kī nahīñ dil meñ kahīñ bhī baaqī
yād-e-jānāñ ke sitāre haiñ daraḳhshāñ itne
ai zafar us kā gumāñ tak bhī nahīñ thā ham ko
ham gunahgār-e-vafā hoñge pashemāñ itne
aap jab tak the na nazdik-e-dil-o-jaan itne
hum na rahte the mohabbat mein pareshan itne
ye tawaqqoa thi kise sham-e-alam se pahle
ye mere zaKHm-e-jigar honge numayan itne
us mein sazish to raqibon ki yaqinan hogi
wo na rahte the kabhi hum se gurezan itne
un ko nisbat jo nahin KHana-KHarabi se meri
kyun hasin lagne lage mujh ko bayaban itne
oDhe rahte the hamesha hi rida-e-tahzib
mausam-e-gul se wo pahle the na ’uryan itne
tujh se kyun hoti bhala koi shikayat hum ko
hum tere gham mein uThae jo na nuqsan itne
tirgi gham ki nahin dil mein kahin bhi baqi
yaad-e-jaanan ke sitare hain daraKHshan itne
ai zafar us ka guman tak bhi nahin tha hum ko
hum gunahgar-e-wafa honge pasheman itne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.