us se waqif hain sar-e-sahn-e-gulistan kitne
us se vāqif haiñ sar-e-sahn-e-gulistāñ kitne
ham kisī gul kī talab meñ haiñ pareshāñ kitne
maiñ ne ā.īna dikhāyā jo shah-e-daurāñ ko
mere is kār-e-junūñ par haiñ vo hairāñ kitne
maiñ ne samjhā thā jinheñ rāh-e-vafā meñ ābād
mere dil hī kī tarah vo bhī the vīrāñ kitne
un ke gesū jo pareshāñ haiñ hamāre ġham meñ
dosto un ke liye ham bhī haiñ be-jāñ kitne
maiñ usī but kī mohabbat meñ banā huuñ pāgal
toḌtā rahtā hai har din hī jo paimāñ kitne
kyā ġhazālān-e-mohabbat ko patā hai us kā
dushman-e-jāñ haiñ sar-e-dasht-o-bayābāñ kitne
ham to baḌhte hī rahe dasht-e-junūñ meñ aake
go ki paañv meñ chubhe ḳhār-e-muġhīlāñ kitne
sher ke fan meñ 'zafar' maiñ to nahīñ huuñ kāmil
faiz uThāte haiñ magar mujh se suḳhan-dāñ kitne
us se waqif hain sar-e-sahn-e-gulistan kitne
hum kisi gul ki talab mein hain pareshan kitne
main ne aaina dikhaya jo shah-e-dauran ko
mere is kar-e-junun par hain wo hairan kitne
main ne samjha tha jinhen rah-e-wafa mein aabaad
mere dil hi ki tarah wo bhi the viran kitne
un ke gesu jo pareshan hain hamare gham mein
dosto un ke liye hum bhi hain be-jaan kitne
main usi but ki mohabbat mein bana hun pagal
toDta rahta hai har din hi jo paiman kitne
kya ghazalan-e-mohabbat ko pata hai us ka
dushman-e-jaan hain sar-e-dasht-o-bayaban kitne
hum to baDhte hi rahe dasht-e-junun mein aake
go ki panw mein chubhe KHar-e-mughilan kitne
sher ke fan mein 'zafar' main to nahin hun kaamil
faiz uThate hain magar mujh se suKHan-dan kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.