jo haq se dur hai wo haq samajh nahin sakta
jo haq se duur hai vo haq samajh nahīñ saktā
sivā.e zaq-zaq-o-baq-baq samajh nahīñ saktā
jo apnī hastī-e-mahdūd kā hai zindānī
vo rind hastī mutlaq samajh nahīñ saktā
varā-e-fahm bhī mafhūm kā taqayyud hai
ba-qaid-e-fahm jo mutlaq samajh nahīñ saktā
samajh sakā na jo haq kī khulī huī āyāt
hadīs-e-mubham-o-muġhlaq samajh nahīñ saktā
jamāl-e-haq ko ba-juz haq koī na dekhegā
kalām-e-haq ko ba-juz haq samajh nahīñ saktā
sifat kī zaat se nisbat jise nahīñ ma.alūm
vo rabt-e-dajla-o-zauraq samajh nahīñ saktā
zuhūr meñ nazar aayā na jis ko al-zāhir
vo farq-e-masdar-o-mushtaq samajh nahīñ saktā
'zahīn' fahm na ho fahm-e-haq meñ jab tak gum
haqīqat-e-haq-o-nāhaq samajh nahīñ saktā
jo haq se dur hai wo haq samajh nahin sakta
siwae zaq-zaq-o-baq-baq samajh nahin sakta
jo apni hasti-e-mahdud ka hai zindani
wo rind hasti mutlaq samajh nahin sakta
wara-e-fahm bhi mafhum ka taqayyud hai
ba-qaid-e-fahm jo mutlaq samajh nahin sakta
samajh saka na jo haq ki khuli hui aayat
hadis-e-mubham-o-mughlaq samajh nahin sakta
jamal-e-haq ko ba-juz haq koi na dekhega
kalam-e-haq ko ba-juz haq samajh nahin sakta
sifat ki zat se nisbat jise nahin malum
wo rabt-e-dajla-o-zauraq samajh nahin sakta
zuhur mein nazar aaya na jis ko al-zahir
wo farq-e-masdar-o-mushtaq samajh nahin sakta
'zahin' fahm na ho fahm-e-haq mein jab tak gum
haqiqat-e-haq-o-nahaq samajh nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.