Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHuda ko KHud ba-KHud jo ghaalib samajh nahin sakta

Zaheen Shah Taji

KHuda ko KHud ba-KHud jo ghaalib samajh nahin sakta

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    ḳhudā ko ḳhud ba-ḳhud jo ġhālib samajh nahīñ saktā

    vo ilam-e-haq ke matālib samajh nahīñ saktā

    vo hai sanam-kadā-e-mumkināt meñ aazar

    jo raaz hastī-e-vājib samajh nahīñ saktā

    jo vahm-e-ġhair meñ hai apne aap se mahjūb

    hai ḳhud hijāb ke hājib samajh nahii. saktā

    samajh rahā hai jo aql-e-shikasta-pā ko ḳhizr

    junūñ ke jāh-o-manāsib samajh nahīñ saktā

    kalām-e-haq sifat hai ‘zahīn’ merā kalām

    na ho ḳhudā jo tālib samajh nahīñ saktā

    ḳhudā hai fahm se baalā samajh nahīñ saktā

    samajh rahā hai jo samjhā samajh nahīñ saktā

    guzar 'zahīn' ke dil meñ nahīñ huā jis

    ḳhudā ke dil tamannā samajh nahīñ saktā

    KHuda ko KHud ba-KHud jo ghaalib samajh nahin sakta

    wo ilam-e-haq ke matalib samajh nahin sakta

    wo hai sanam-kada-e-mumkinat mein aazar

    jo raaz hasti-e-wajib samajh nahin sakta

    jo wahm-e-ghair mein hai apne aap se mahjub

    hai KHud hijab ke hajib samajh nahi sakta

    samajh raha hai jo aql-e-shikasta-pa ko KHizr

    junun ke jah-o-manasib samajh nahin sakta

    kalam-e-haq ki sifat hai ‘zahin’ mera kalam

    na ho KHuda ka jo talib samajh nahin sakta

    KHuda hai fahm se baala samajh nahin sakta

    samajh raha hai jo samjha samajh nahin sakta

    guzar 'zahin' ke dil mein nahin hua jis ka

    KHuda ke dil ki tamanna samajh nahin sakta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now