ye kaun barq-rawish tha jo muskura ke gaya
ye kaun barq-ravish thā jo muskurā ke gayā
ye kaun hausla-e-dil ko aazmā ke gayā
ye kis kī yaad kī letā huuñ chuTkiyāñ dil meñ
ye kaun jān-e-tamannā nazar laḌā ke gayā
ye kis ke jazba-e-ulfat meñ kho gayā huuñ maiñ
ye kaun be-kHud-e-hastī mujhe banā ke gayā
surūr-o-shauq jahāñ meñ hai kis kī sahbā kā
ye kaun bāda-e-mastī ke ḳhum luñDhā ke gayā
har ek be-piye mad.hosh aur be-ḳhud hai
ye kaun mahfil-e-rindāñ meñ mast aake gayā
hasīn ġhunchoñ se ye kaun ham-kalām huā
chaman-chaman ko masarrat-kada banā ke gayā
ye kis ke husn kī duniyā meñ jalva-bārī hai
ye kaun 'tāj' ke dil meñ jhalak dikhā ke gayā
ye kaun barq-rawish tha jo muskura ke gaya
ye kaun hausla-e-dil ko aazma ke gaya
ye kis ki yaad ki leta hun chuTkiyan dil mein
ye kaun jaan-e-tamanna nazar laDa ke gaya
ye kis ke jazba-e-ulfat mein kho gaya hun main
ye kaun be-kHud-e-hasti mujhe bana ke gaya
surur-o-shauq jahan mein hai kis ki sahba ka
ye kaun baada-e-masti ke KHum lunDha ke gaya
har ek be-piye madhosh aur be-KHud hai
ye kaun mahfil-e-rindan mein mast aake gaya
hasin ghunchon se ye kaun ham-kalam hua
chaman-chaman ko masarrat-kada bana ke gaya
ye kis ke husn ki duniya mein jalwa-bari hai
ye kaun 'taj' ke dil mein jhalak dikha ke gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.