naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
Interesting Fact
مرقومہ 1945ء
naqāb-e-ruḳh uThāyā jā rahā hai
sukūñ 'ālam pe chhāyā jā rahā hai
ba-yād-e-iltifāt-e-chashm-e-jānāñ
har ik sāġhar uThāyā jā rahā hai
ruḳh-e-tābāñ se hai raushan mirā dil
zamīñ par chāñd chhāyā jā rahā hai
vo bikhrīñ dekhiye chehra pe zulfeñ
gahan meñ chāñd aayā jā rahā hai
ba-shakl-e-sham'-e-dil kī hasratoñ ko
sar-e-mahfil jalāyā jā rahā hai
ye bijlī bhī na āsūda rahegī
nasheman kyā jalāyā jā rahā hai
fareb-e-dil umīdeñ kis qadar haiñ
mirā ġham muskurāyā jā rahā hai
na jaane kyā umīdeñ haiñ ki ab tak
ġham-e-hastī uThāyā jā rahā hai
ye ik do saañs bhī kyuuñ le rahā huuñ
fuġhāñ kā harf aayā jā rahā hai
kise apnā kaheñge vo jahāñ meñ
hameñ hī gar miTāyā jā rahā hai
hadīs-e-shauq se ai taaj dil par
surūr-o-kaif chhāyā jā rahā hai
naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
sukun 'alam pe chhaya ja raha hai
ba-yaad-e-iltifat-e-chashm-e-jaanan
har ek saghar uThaya ja raha hai
ruKH-e-taban se hai raushan mera dil
zamin par chand chhaya ja raha hai
wo bikhrin dekhiye chehra pe zulfen
gahan mein chand aaya ja raha hai
ba-shakl-e-sham'-e-dil ki hasraton ko
sar-e-mahfil jalaya ja raha hai
ye bijli bhi na aasuda rahegi
nasheman kya jalaya ja raha hai
fareb-e-dil umiden kis qadar hain
mera gham muskuraya ja raha hai
na jaane kya umiden hain ki ab tak
gham-e-hasti uThaya ja raha hai
ye ek do sans bhi kyun le raha hun
fughan ka harf aaya ja raha hai
kise apna kahenge wo jahan mein
hamein hi gar miTaya ja raha hai
hadis-e-shauq se ai taj dil par
surur-o-kaif chhaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.