humne mana wo sitam-ijad hai
Interesting Fact
مرقومہ 1946ء
ham ne maanā vo sitam-ījād hai
kuchh ḳhatā apnī bhī ai dil yaad hai
ai ḳhayāl-e-yār ai mūnis mire
tere dam se zindagānī shaad hai
'āshiqoñ par aa.e kyā kyā marhale
husn vaalo kuchh tumheñ bhī yaad hai
har ghaḌī hai dil ke miT jaane kā Dar
bijliyoñ se ye chaman ābād hai
al-amāñ ġham-hā-e-hastī al-amāñ
zindagī kā har nafas fariyād hai
al-hazar āshob-e-'ālam al-hazar
kārvāñ dar kārvāñ fariyād hai
kaise guzre dekhnā ab kī bahār
har qadam par daam hai sayyād hai
ai kalīmī ai barāhīmī madad
aadmī kā aadmī sayyād hai
chaar tinkoñ ko jalā kar tāj-e-barq
aaj tak bechain hai barbād hai
hum ne mana wo sitam-ijad hai
kuchh KHata apni bhi ai dil yaad hai
ai KHayal-e-yar ai munis mere
tere dam se zindagani shad hai
'ashiqon par aae kya kya marhale
husn walo kuchh tumhein bhi yaad hai
har ghaDi hai dil ke miT jaane ka Dar
bijliyon se ye chaman aabaad hai
al-aman gham-ha-e-hasti al-aman
zindagi ka har nafas fariyaad hai
al-hazar aashob-e-'alam al-hazar
karwan dar karwan fariyaad hai
kaise guzre dekhna ab ki bahaar
har qadam par dam hai sayyaad hai
ai kalimi ai barahimi madad
aadmi ka aadmi sayyaad hai
chaar tinkon ko jala kar taj-e-barq
aaj tak bechain hai barbaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.