ye mante hain haq ke manne wale
ye mānte haiñ haq ke mānñe vaale
ḳhudā ko jānte haiñ ḳhud ke jānñe vaale
jānñā ḳhud ko yuuñ āsāñ nahii. ye kahte haiñ
pahāḌ chiir ke chashma nikālne vaale
fanā ke partav haiñ hastī kī baqā paate haiñ
ḳhudī ko haq kī mohabbat meñ Dhālne vaale
bazm kī bazm ko maḳhmūr banā dete haiñ
sāġhar-e-’ishq se qatre uchhālne vaale
log aise to 'zakī' kam hī huā karte haiñ
nafs ko bhuuk ke sahrā meñ pālne vaale
ye mante hain haq ke manne wale
KHuda ko jaante hain KHud ke jaanne wale
jaanna KHud ko yun aasan nahi ye kahte hain
pahaD chir ke chashma nikalne wale
fana ke partaw hain hasti ki baqa pate hain
KHudi ko haq ki mohabbat mein Dhaalne wale
bazm ki bazm ko maKHmur bana dete hain
saghar-e-’ishq se qatre uchhaalne wale
log aise to 'zaki' kam hi hua karte hain
nafs ko bhuk ke sahra mein palne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.