is qadar chamka jamal-e-yar ruswa ho gaya
is qadar chamkā jamāl-e-yār rusvā ho gayā
in kā māh-o-mehr ho jaanā tamāshā ho gayā
koī dekhe us sarāpā husn kī ra'anā.iyāñ
ā.īna mahv-e-jamāl-e-rū-e-zebā ho gayā
ye 'urūj-e-shān-e-ġham thā yā karāmat 'ishq kī
dāman-e-dil meñ jo aañsū thā vo taarā ho gayā
ho tumheñ maqsūd duniyā ho tumheñ maqsūd diiñ
dīn-o-duniyā sab usī ke jo tumhārā ho gayā
ḳhair aa.ī to ajal koī milā to ġham-gusār
Dūbte ko ek tinke kā sahārā ho gayā
is qadar hai dil-farebī har adā meñ aap kī
ḳhud musavvir dekh kar tasvīr-e-shaidā ho gayā
is qadar chamka jamal-e-yar ruswa ho gaya
in ka mah-o-mehr ho jaana tamasha ho gaya
koi dekhe us sarapa husn ki ra'anaiyan
aaina mahw-e-jamal-e-ru-e-zeba ho gaya
ye 'uruj-e-shan-e-gham tha ya karamat 'ishq ki
daman-e-dil mein jo aansu tha wo tara ho gaya
ho tumhein maqsud duniya ho tumhein maqsud din
din-o-duniya sab usi ke jo tumhaara ho gaya
KHair aai to ajal koi mila to gham-gusar
Dubte ko ek tinke ka sahaara ho gaya
is qadar hai dil-farebi har ada mein aap ki
KHud musawwir dekh kar taswir-e-shaida ho gaya
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 77)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.