raushan hai duniya sari maula tere azm se
raushan hai duniyā saarī maulā tire azm se
rakhnā hameñ bhī yā-rab mahfūz har alam se
terī razā kī ḳhātir terī ḳhushī kī ḳhātir
bāñdhai the pyāre aaqā patthar ka.ī shikam se
muflis yatīm be-bas sab ko tirā sahārā
zinda haiñ sab jahāñ meñ ik tere hī karam se
'azmat tirī tū zabt-e-tahrīr meñ kyā aa.e
kaise adā ho terī hamd-o-sanā qalam se
bakHshish-o-maġhfirat kā karnā muāmla tū
har moḌ par ḳhatā.eñ hotī haiñ maulā ham se
shāh-o-gadā sabhī ko haj ho nasīb yā-rab
bandoñ kā tere rishta qaa.em rahe haram se
degā sahārā mujh ko merā ḳhudā hī 'hasrat'
hogī mirī hifāzat bātil ke har sitam se
raushan hai duniya sari maula tere azm se
rakhna hamein bhi ya-rab mahfuz har alam se
teri raza ki KHatir teri KHushi ki KHatir
bandhai the pyare aaqa patthar kai shikam se
muflis yatim be-bas sab ko tera sahaara
zinda hain sab jahan mein ek tere hi karam se
'azmat teri tu zabt-e-tahrir mein kya aae
kaise ada ho teri hamd-o-sana qalam se
bakHshish-o-maghfirat ka karna muamla tu
har moD par KHataen hoti hain maula hum se
shah-o-gada sabhi ko haj ho nasib ya-rab
bandon ka tere rishta qaem rahe haram se
dega sahaara mujh ko mera KHuda hi 'hasrat'
hogi meri hifazat baatil ke har sitam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.