dard ko apne hum chhupa lenge
dard ko apne ham chhupā leñge
zaḳhm khā kar bhī muskurā.eñge
zahr paltā hai jin ke sīnoñ meñ
vo muravvat se kaam kyā leñge
jab dikhā.eñge ā.īna un ko
sharm se sar ko vo jhukā leñge
dostoñ ne to kī daġhā ham se
dushmanoñ ko bhī aazmā leñge
narm-o-nāzuk bichhaune haiñ jin ke
vo ġharīboñ kī kyā duā leñge
ham to tārīkiyoñ meñ nafrat kī
pyaar kī ik sham.a jalā leñge
dekhtā hai jo pyaar se 'hasrat'
apne dil meñ use chhupā leñge
dard ko apne hum chhupa lenge
zaKHm kha kar bhi muskuraenge
zahr palta hai jin ke sinon mein
wo murawwat se kaam kya lenge
jab dikhaenge aaina un ko
sharm se sar ko wo jhuka lenge
doston ne to ki dagha hum se
dushmanon ko bhi aazma lenge
narm-o-nazuk bichhaune hain jin ke
wo gharibon ki kya dua lenge
hum to tarikiyon mein nafrat ki
pyar ki ek shama jala lenge
dekhta hai jo pyar se 'hasrat'
apne dil mein use chhupa lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.