tu dost hai to KHuda-ra na de saza mujhko
tū dost hai to ḳhudā-rā na de sazā mujh ko
ki aur jiine kī zālim duā na de mujh ko
maiñ so gayā to zarūr ā.eñge vo sapnoñ meñ
magar ye Dar hai ki koī jagā na de mujh ko
ye aas hai ki kisī moḌ par milegā tū
bichhaḌne vaale musāfir bhulā na de mujh ko
uThā chukā huuñ maiñ sadme firāq ke barsoñ
ḳhudā-yā hashr meñ koī sazā na de mujh ko
na chheḌ dāstāñ hasrat thame haiñ ashk abhī
fasāna ġham kā tire phir rulā na de mujh ko
tu dost hai to KHuda-ra na de saza mujh ko
ki aur jine ki zalim dua na de mujh ko
main so gaya to zarur aaenge wo sapnon mein
magar ye Dar hai ki koi jaga na de mujh ko
ye aas hai ki kisi moD par milega tu
bichhaDne wale musafir bhula na de mujh ko
uTha chuka hun main sadme firaq ke barson
KHuda-ya hashr mein koi saza na de mujh ko
na chheD dastan hasrat thame hain ashk abhi
fasana gham ka tere phir rula na de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.