humne basti banai mar mar ke
ham ne bastī banā.ī mar mar ke
aur mālik nahīñ kisī ghar ke
ham haiñ qatra to apnī shaan se haiñ
koī naukar nahīñ samandar ke
ek din zulm haar baiThegā
saare zālim haiñ ye ghaḌī bhar ke
hausla merā ab bhī qaa.em hai
vaar har samt se hue shar ke
ek dar ke agar hue hote
kis liye hote aise dar dar ke
dostī tab samajh meñ aa.egī
dekhiye ham se dostī kar ke
vaar 'hasrat' hai sāmne mere
hausle kam nahīñ mire sar ke
hum ne basti banai mar mar ke
aur malik nahin kisi ghar ke
hum hain qatra to apni shan se hain
koi naukar nahin samandar ke
ek din zulm haar baiThega
sare zalim hain ye ghaDi bhar ke
hausla merā ab bhi qaem hai
war har samt se hue shar ke
ek dar ke agar hue hote
kis liye hote aise dar dar ke
dosti tab samajh mein aaegi
dekhiye hum se dosti kar ke
war 'hasrat' hai samne mere
hausle kam nahin mere sar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.