palkon ki chilman pur-nam hai
palkoñ kī chilman pur-nam hai
tere na milne hī kā ġham hai
terā hī rasta dekheñge
jab tak un āñkhoñ meñ dam hai
bhar jaate haiñ dil ke zaḳhm
har pal har lamha marham hai
kāñToñ se dāman kī yaar
phūloñ se rishta kam-kam hai
kaise ā.eñge parvāne
ḳhud sham.a kī lau maddham hai
'hasrat' vo aate aise meñ
haaye kyā pyārā mausam hai
palkon ki chilman pur-nam hai
tere na milne hi ka gham hai
tera hi rasta dekhenge
jab tak un aankhon mein dam hai
bhar jate hain dil ke zaKHm
har pal har lamha marham hai
kanTon se daman ki yar
phulon se rishta kam-kam hai
kaise aaenge parwane
KHud shama ki lau maddham hai
'hasrat' wo aate aise mein
haye kya pyara mausam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.