zara sunta nahin kahna kisi ka
zarā suntā nahīñ kahnā kisī kā
dil-e-nādāñ ko hai saudā kisī kā
hasīnoñ ko jahāñ meñ kaun pūchhe
zamāna ho gayā shaidā kisī kā
haram meñ but-kada meñ ham ko vaa.iz
nazar aatā hai ik jalva kisī kā
ḳhudā shāhid nahīñ taqsīr merī
huā dil ḳhud-ba-ḳhud banda kisī kā
sunā hai- āj-kal dair-o-haram meñ
huā kartā hai phir charchā kisī kā
tasavvur meñ sadā rahtā hai 'aughaT'
qad-e-bālā ruḳh-e-zebā kisī kā
zara sunta nahin kahna kisi ka
dil-e-nadan ko hai sauda kisi ka
hasinon ko jahan mein kaun puchhe
zamana ho gaya shaida kisi ka
haram mein but-kada mein hum ko waiz
nazar aata hai ek jalwa kisi ka
KHuda shahid nahin taqsir meri
hua dil KHud-ba-KHud banda kisi ka
suna hai- aaj-kal dair-o-haram mein
hua karta hai phir charcha kisi ka
tasawwur mein sada rahta hai 'aughaT'
qad-e-baala ruKH-e-zeba kisi ka
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 13)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.