Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zillat-e-ishq ko samjhe hue izzat rahiye

Shah Amiruddin Firdausi

zillat-e-ishq ko samjhe hue izzat rahiye

Shah Amiruddin Firdausi

MORE BYShah Amiruddin Firdausi

    zillat-e-ishq ko samjhe hue izzat rahiye

    kitnā us ke sabab bāb-e-muzillat rahiye

    gar haqīqī nahīñ be-laus majāzī sahī

    rah ka.e ishq se paidā kisī bābat rahiye

    maz.hab-e-ishq se vus.at nahīñ rakhtā koī

    iḳhtiyār us kiye maz.hab-o-millat rahiye

    dostī paḌe rāh-e-talab meñ har gaam

    āshnā.ī ke bas āvāra-e-ġhurbat rahiye

    laag se laag rahe dil ko baharhāl ai 'vajd'

    soz saaz meñ jis haal meñ hazrat rahiye

    zillat-e-ishq ko samjhe hue izzat rahiye

    kitna hi us ke sabab bab-e-muzillat rahiye

    gar haqiqi nahin be-laus majazi hi sahi

    rah kae ishq se paida kisi babat rahiye

    mazhab-e-ishq se wusat nahin rakhta koi

    iKHtiyar us ka kiye mazhab-o-millat rahiye

    dosti hi ka paDe rah-e-talab mein har gam

    aashnai ke bas aawara-e-ghurbat rahiye

    lag se lag rahe dil ko baharhaal ai 'wajd'

    soz ba saz mein jis haal mein hazrat rahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now