larza hua hai tari shoara ke fikr-o-fan mein
Interesting Fact
خواجہ حیدر علی آتش کی زمین میں۔
larza huā hai taarī sho.arā ke fikr-o-fan meñ
ye kaun aa rahā hai ġhazloñ kī anjuman meñ
naqsh-o-nigār itne dekhe haiñ us badan meñ
aisā sarāpā aanā mushkil hai husn-e-zan meñ
kaise nazar lagegī majbūr hai nazar ḳhud
taare chamak rahe haiñ is darja pairahan meñ
ab ke bahār meñ to jashn-e-bahār hogā
vo ḳhush-ḳhirām aayā ḳhushbū liye chaman meñ
in ātishī laboñ par bose haiñ zindagī ke
ta.abīr ḳhvāb-e-ġham hai jaagī huī dulhan meñ
gulshan ke gul musalsal gir gir ke hans rahe haiñ
kaisā sahar chhipā hai gulchīñ ke bāñkpan meñ
ab dhaḌkanoñ pe qaabū chaltā nahīñ kisī pal
bargashta dil huā hai apne hī jān-o-tan meñ
aao usī se sīkheñ andāz-e-ḳhush-kalāmī
shīrīñ suḳhan haiñ pinhāñ shīrīñ se us dahan meñ
tesha kudāl kaise vo nahr khod laate
josh-e-junūñ kā jazba shāmil thā kohkan meñ
tanhā nahii. hai ātish apnī zamīñ meñ yaktā
ik sher hai 'ziyā' bhī us sher nar ke ban meñ
larza hua hai tari shoara ke fikr-o-fan mein
ye kaun aa raha hai ghazlon ki anjuman mein
naqsh-o-nigar itne dekhe hain us badan mein
aisa sarapa aana mushkil hai husn-e-zan mein
kaise nazar lagegi majbur hai nazar KHud
tare chamak rahe hain is darja pairahan mein
ab ke bahaar mein to jashn-e-bahaar hoga
wo KHush-KHiram aaya KHushbu liye chaman mein
in aatishi labon par bose hain zindagi ke
tabir KHwab-e-gham hai jagi hui dulhan mein
gulshan ke gul musalsal gir gir ke hans rahe hain
kaisa sahar chhipa hai gulchin ke bankpan mein
ab dhaDkanon pe qabu chalta nahin kisi pal
bargashta dil hua hai apne hi jaan-o-tan mein
aao usi se sikhen andaz-e-KHush-kalami
shirin suKHan hain pinhan shirin se us dahan mein
tesha kudal kaise wo nahr khod late
josh-e-junun ka jazba shamil tha kohkan mein
tanha nahi hai aatish apni zamin mein yakta
ek sher hai 'ziya' bhi us sher nar ke ban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.