mai-kasho kya zindagi hai saqi-e-KHud-sar ke hath
mai-kasho kyā zindagī hai sāqī-e-ḳhud-sar ke haath
fasl-e-gul meñ bik ga.e haiñ shīsha-o-sāġhar ke haath
maiñ dil-e-pur-dard laayā huuñ mirī jaañ lījiye
aaj saudā kījiye kuchh 'āshiq-e-muztar ke haath
jin kī bholī bholī bātoñ ne merā dil le liyā
yā ilāhī maut denā tū usī kāfir ke haath
jumbish-e-lab se jalāyā qatl abrū se kiyā
zindagī aur maut donoñ hai mire dilbar ke haath
sāmrī se un butoñ ko ab to ulfat ho ga.ī
ai barahman but bike jaate haiñ jādū-gar ke haath
mai-kasho kya zindagi hai saqi-e-KHud-sar ke hath
fasl-e-gul mein bik gae hain shisha-o-saghar ke hath
main dil-e-pur-dard laya hun meri jaan lijiye
aaj sauda kijiye kuchh 'ashiq-e-muztar ke hath
jin ki bholi bholi baaton ne mera dil le liya
ya ilahi maut dena tu usi kafir ke hath
jumbish-e-lab se jalaya qatl abru se kiya
zindagi aur maut donon hai mere dilbar ke hath
samri se un buton ko ab to ulfat ho gai
ai barahman but bike jate hain jadu-gar ke hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.