ek turfa-tamasha hai meri shab-e-furqat bhi
ek turfa-tamāsha hai merī shab-e-furqat bhī
vo dard kī bechainī phir dard meñ lazzat bhī
samjhe vahī kuchh us ko jo ahl-e-mohabbat hai
vā'iz nahīñ to vāqif ek chiiz hai chāhat bhī
jo chāho sitam kar lo ham shauq se sah leñge
ḳhūgar hai jafāoñ kī kuchh apnī tabī'at bhī
kab apne 'amal pe hai zāhid kī tarah ġharra
karatā huuñ gunah lekin hotī hai nadāmat bhī
jaldī se 'zuhūr' ab bhī kuchh nek 'amal kar lo
samajh ki ġhanīmat hai ik saañs kī mohlat bhī
ek turfa-tamasha hai meri shab-e-furqat bhi
wo dard ki bechaini phir dard mein lazzat bhi
samjhe wahi kuchh us ko jo ahl-e-mohabbat hai
wa'iz nahin to waqif ek chiz hai chahat bhi
jo chaho sitam kar lo hum shauq se sah lenge
KHugar hai jafaon ki kuchh apni tabi'at bhi
kab apne 'amal pe hai zahid ki tarah gharra
karata hun gunah lekin hoti hai nadamat bhi
jaldi se 'zuhur' ab bhi kuchh nek 'amal kar lo
samajh ki ghanimat hai ek sans ki mohlat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.