mehrban ho jaenge dard-e-jigar hone to do
mehrbāñ ho jā.eñge dard-e-jigar hone to do
ḳhud chale ā.eñge nāloñ meñ asar hone to do
lākhoñ bismil hoyeñge sar kaTeñge saiñkaḌoñ
un kī mahfil meñ zarā tirchhī nazar hone to do
ḳhaak uḌāte ā.eñge merī lahad par dekhnā
mere marne kī zarā un ko ḳhabar hone to do
jān-e-man jaane kī tum ko is qadar jaldī hai kyā
raat baaqī hai chale jaanā sahar hone to do
mehrban ho jaenge dard-e-jigar hone to do
KHud chale aaenge nalon mein asar hone to do
lakhon bismil hoyenge sar kaTenge sainkaDon
un ki mahfil mein zara tirchhi nazar hone to do
KHak uDate aaenge meri lahad par dekhna
mere marne ki zara un ko KHabar hone to do
jaan-e-man jaane ki tum ko is qadar jaldi hai kya
raat baqi hai chale jaana sahar hone to do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.