Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ajab aa.ii bahaar ra.ng-e-saamaa.n aaj holii me.n

Fana Badayuni

gale milte hai.n sab hinduu-musalmaa.n aaj holii me.n

hu.aa ahd-e-junuu.n me.n bhii bahut kam ittifaaq aisaa

milaa hai jaa ke daaman se garebaa.n aaj holii me.n

sajii hai bazm-e-ishrat jis ko dekho shaad phirtaa hai

vo be-paayaa.n masarrat kaa hai tuufaa.n aaj holii me.n

gulaal-o-ra.ng-paashii se miTii hai.n saarii tafriiqe.n

hai.n ek hii ra.ng me.n hindu-musalmaa.n aaj holii me.n

vo saamaan-e-tarab haasil hai duniyaa-e-mohabbat me.n

jo thaa naashaad kal tak hai vo shaadaa.n aaj holii me.n

'fanaa' ke dil me.n bhii lo aaj mauj-e-taazgii uThii

khulaa hai aarzu.o.n kaa gulistaa.n aaj holii me.n

Source :
  • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 254)
  • Author : Irfan Abbasi
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now