Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jab aa.ii holii ra.ng-bharii sau naaz-adaa se maTak maTak

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    jab aa.ii holii ra.ng-bharii sau naaz-adaa se maTak maTak

    aur ghu.nghaT ke paT khol diye vah ruup dikhaayaa chamak chamak

    kuchh mukh.Daa kartaa damak damak kuchh abran kartaa jhalak jhalak

    jab paa.nv rakhaa KHush-vaqtii se ek paa.el baajii jhanak jhanak

    kuchh uchhle.n saine.n naaz bhare.n kuchh kuude.n aahe.n thirak thirak

    ye ruup dikhaa kar holii ke jab nain rasiile Tuk maTke

    ma.ngvaa.e.n thaal gulaalo.n ke bharvaa.e.n ra.ngo.n se maTke

    phir svaa.ng bahut tayaar hu.e aur ThaaTh KHushii ke jhurmuT ke

    gul shor hu.e KHush-haalii ke aur naachne gaane ke khaTke

    mrid.nge.n baaje.n taal baje kuchh khanak khanak kuchh dhanak dhanak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now