Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

biraj ke mohan mohii.n suurat dikhaa.ii

Makhdoom Khadim Safi

biraj ke mohan mohii.n suurat dikhaa.ii

Makhdoom Khadim Safi

MORE BYMakhdoom Khadim Safi

    biraj ke mohan mohii.n suurat dikhaa.ii

    suurat dikhaa.e morii sudhaa bisraa.ii

    mohe biich hai kyuu.n samaa.ii

    rain danaa mohe chain na aavat

    kaisii ye piit lagaa.ii

    nahii.n mose jaat chhupaa.ii

    bindraaban ke kunj galan maa.n

    mil gayo kishan kanhaa.ii

    kahat thii kuchh kahne na paa.ii

    kesav hai dheTh kanhaa.ii

    karat ham se churaa.ii

    horii nahii.n brjorii saa.nvarii

    kubjaa se aa.nkh lagaa.ii

    ye chhal-bal torii iko na chalihe

    ham se baat banaa.ii

    jab se bha.e matvaare hai.n 'KHaadim'

    tab se bha.ii rusvaa.ii

    phaag kii laaj tore haath hai mohan

    ghaT hii maa.n suurat dikhaa.ii

    morii ab to ban aa.ii

    biraj ke mohan mohii.n suurat dikhaa.ii

    suurat dikhaa.e morii sudhaa bisraa.ii

    mohe biich hai kyuu.n samaa.ii

    rain danaa mohe chain na aavat

    kaisii ye piit lagaa.ii

    nahii.n mose jaat chhupaa.ii

    bindraaban ke kunj galan maa.n

    mil gayo kishan kanhaa.ii

    kahat thii kuchh kahne na paa.ii

    kesav hai dheTh kanhaa.ii

    karat ham se churaa.ii

    horii nahii.n brjorii saa.nvarii

    kubjaa se aa.nkh lagaa.ii

    ye chhal-bal torii iko na chalihe

    ham se baat banaa.ii

    jab se bha.e matvaare hai.n 'KHaadim'

    tab se bha.ii rusvaa.ii

    phaag kii laaj tore haath hai mohan

    ghaT hii maa.n suurat dikhaa.ii

    morii ab to ban aa.ii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now