suno tum ishq ki bazi malayak hai kahan raazi
suno tum ishq kī baazī malāyak hai kahāñ raazī
yañh birahoñ par hai ġhāzī vekhāñ phir kaun hāregā
sājan kī bhaal hun hoī maiñ lahū nain bhar roī
nachche ham laah kar loī hairat ke patthar māregā
mahūrat pūchh kar jā.ūñ sājan ko dekhne pā.ūñ
use maiñ le gale lā.ūñ nahīñ phir khud guzāregā
ishq kī teġh se muuī nahīñ voh zaat kī duuī
aur piyā piyā kar muuī moyāñ vich ruuh chitāregā
sājan kī bhaal sar diyā lahū madh apnā piyā
kafan bāhoñ se sī liyā lahad meñ pā utāregā
'bullahā' shahu ishq hai terā isī ne jī liyā merā
mere ghar baar kar pherā vekhāñ sir kaun vāregā
suno tum ishq ki bazi malayak hai kahan raazi
yanh birahon par hai ghazi wekhan phir kaun haarega
sajan ki bhaal hun hoi main lahu nain bhar roi
nachche hum lah kar loi hairat ke patthar marega
mahurat puchh kar jaun sajan ko dekhne paun
use main le gale laun nahin phir khud guzarega
ishq ki tegh se mui nahin woh zat ki dui
aur piya piya kar mui moyan wich ruh chitarega
sajan ki bhaal sar diya lahu madh apna piya
kafan bahon se si liya lahad mein pa utarega
'bullaha' shahu ishq hai tera isi ne ji liya mera
mere ghar bar kar phera wekhan sir kaun warega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.