aa saqiya pila de mujhe jam-e-nisti
aa sāqiyā pilā de mujhe jām-e-nīstī
āḳhir banā.egī ye mirā kaam nīstī
mushrik banūñ jo nām-e-ḳhudā luuñ zabān se
yād-e-ḳhudā se kartī hai be-kām nīstī
ye zauq-o-shauq āh-o-bukā chand roza hai
ai 'āshiqo hai 'ishq kā anjām nīstī
ho jaa.e gar 'atā mujhe sarkār se to phir
devegī tā-abad mujhe ārām nīstī
gar ho sake to sāliko us ko karo husūl
yāvar hai rāh-e-haq meñ ba-har-gām nīstī
diiñ se tumhāre vā'izo rakhte nahīñ ġharaz
pairau haiñ ham to maz.hab-e-islām nīstī
hūr-o-qusūr kī nahīñ mujh ko talab 'asad'
maiñ māñgtā huuñ haq se sub.h-o-shām nīstī
aa saqiya pila de mujhe jam-e-nisti
aaKHir banaegi ye mera kaam nisti
mushrik banun jo nam-e-KHuda lun zaban se
yaad-e-KHuda se karti hai be-kaam nisti
ye zauq-o-shauq aah-o-buka chand roza hai
ai 'ashiqo hai 'ishq ka anjam nisti
ho jae gar 'ata mujhe sarkar se to phir
dewegi ta-abad mujhe aaram nisti
gar ho sake to saliko us ko karo husul
yawar hai rah-e-haq mein ba-har-gam nisti
din se tumhaare wa'izo rakhte nahin gharaz
pairau hain hum to mazhab-e-islam nisti
hur-o-qusur ki nahin mujh ko talab 'asad'
main mangta hun haq se subh-o-sham nisti
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 427)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.