aadam ko KHilafat ka jab mil gaya parwana
aadam ko ḳhilāfat kā jab mil gayā parvāna
phir kyuuñ na adā karte vo sajda-e-shukrāna
hai pesh-e-nazar har jalva jalva-e-jānāna
bahs is se nahīñ mujh ko ka.aba ho ki but-ḳhāna
aġhyār se ḳhālī hai dil kā mire kāshāna
hai jalva-numā us meñ vo jalva-e-jānāna
vo jalva-numā tujh meñ tu DhūñDhtā phirtā hai
majnūñ kī tarah ai dil kyā tū bhī hai dīvāna
kuchh pūchh na tū mujh se ai zāhid-e-zāhir-bīñ
hai 'ishq mirā maz.hab mashrab mirā rindāna
us 'ishq kī manzil meñ hai kaun mirā sāthī
terā hī bharosa hai ai himmat-e-mardāna
insāñ kī sifat aa.ī tab ādam-o-havvā meñ
iblīs ne gandum kā khilvā diyā jab daana
manzūr huā haq ko iz.hār ḳhudā.ī kā
ik dāna-e-gandum se 'ālam kā hai afsāna
peshānī-e-ādam meñ kyā chiiz amānat thī
vo nūr-e-mohammad thā sab jis ke the parvāna
us gesū-e-mushkīñ kā saudā hai mire sar meñ
jo dekhtā kahtā hai achchhā hai ye dīvāna
'iisā se nahīñ matlab jaanā hai madīne ko
bīmār-e-mohabbat kā us jā hai shifā-ḳhāna
jaatī rahī 'ālam se vo kufr kī mad-mastī
jaarī huā jis din se tauhīd kā mai-ḳhāna
rishta hai lagā ‘fā.iq’ bas ek hī donoñ meñ
maalā meñ bhī daana hai tasbīh meñ bhī daana
aadam ko KHilafat ka jab mil gaya parwana
phir kyun na ada karte wo sajda-e-shukrana
hai pesh-e-nazar har jalwa jalwa-e-jaanana
bahs is se nahin mujh ko kaba ho ki but-KHana
aghyar se KHali hai dil ka mere kashana
hai jalwa-numa us mein wo jalwa-e-jaanana
wo jalwa-numa tujh mein tu DhunDhta phirta hai
majnun ki tarah ai dil kya tu bhi hai diwana
kuchh puchh na tu mujh se ai zahid-e-zahir-bin
hai 'ishq mera mazhab mashrab mera rindana
us 'ishq ki manzil mein hai kaun mera sathi
tera hi bharosa hai ai himmat-e-mardana
insan ki sifat aai tab aadam-o-hawwa mein
iblis ne gandum ka khilwa diya jab dana
manzur hua haq ko izhaar KHudai ka
ek dana-e-gandum se 'alam ka hai afsana
peshani-e-adam mein kya chiz amanat thi
wo nur-e-mohammad tha sab jis ke the parwana
us gesu-e-mushkin ka sauda hai mere sar mein
jo dekhta kahta hai achchha hai ye diwana
'isa se nahin matlab jaana hai madine ko
bimar-e-mohabbat ka us ja hai shifa-KHana
jati rahi 'alam se wo kufr ki mad-masti
jari hua jis din se tauhid ka mai-KHana
rishta hai laga ‘faiq’ bas ek hi donon mein
mala mein bhi dana hai tasbih mein bhi dana
- Book : Armaghan-e-Faaeq (Pg. 104)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.