aah ko dard chahiye naghme ko saz chahiye
aah ko dard chahiye naghme ko saz chahiye
Shah Taqi Raaz Barelvi
MORE BYShah Taqi Raaz Barelvi
aah ko dard chāhiye naġhme ko saaz chāhiye
raaz kā mājrā hai ye raaz ko raaz chāhiye
hijr kī lazzatoñ meñ gum hai merī saarī kā.ināt
mujh ko to har sahr ke baa'd shām-e-darāz chāhiye
kyā mire zauq-e-bandagī chāhiye koī āstāñ
kyā mirī ārzū-e-dīd jalva-tarāz chāhiye
zauq-e-sujūd kyā kare nā't-o-durūd kyā kare
mā'rafat-e-habīb ko qalb-gudāz chāhiye
yā'nī ki ho niyāz-e-’ishq naġhma-e-soz-o-sāz 'ishq
jo ho kisī kā rāz-e-'ishq 'rāz' vo raaz chāhiye
aah ko dard chahiye naghme ko saz chahiye
raaz ka majra hai ye raaz ko raaz chahiye
hijr ki lazzaton mein gum hai meri sari kainat
mujh ko to har sahr ke ba'd sham-e-daraaz chahiye
kya mere zauq-e-bandagi chahiye koi aastan
kya meri aarzu-e-did jalwa-taraaz chahiye
zauq-e-sujud kya kare na't-o-durud kya kare
ma'rafat-e-habib ko qalb-gudaz chahiye
ya'ni ki ho niyaz-e-’ishq naghma-e-soz-o-saz 'ishq
jo ho kisi ka raaz-e-'ishq 'raaz' wo raaz chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.