aaina banta hai ragDe lakh jab khata hai dil
aaina banta hai ragDe lakh jab khata hai dil
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
ā.īna bantā hai ragḌe laakh jab khātā hai dil
kuchh na pūchho dil baḌī mushkil se ban paatā hai dil
'ishq meñ dhoke pe dhoke roz kyuuñ khātā hai dil
un kī bātoñ meñ na jaane kyuuñ ye aa jaatā hai dil
kaT ga.ī ik 'umr is ifhām aur tafhīm meñ
dil ko samjhātā huuñ maiñ aur mujh ko samjhātā hai dil
fasl-e-gul meñ sab to ḳhandāñ haiñ magar giryāñ huuñ maiñ
jab taḌap uThtī hai bijlī yaad aa jaatā hai dil
ek vo din the mohabbat se thā lutf-e-zindagī
ab to nām-e-'ishq se bhī saḳht ghabrātā hai dil
kuchh na ham ko 'ilm rasta kā na manzil kī ḳhabar
jā rahe haiñ bas jidhar ham ko liye jaatā hai dil
aaina banta hai ragDe lakh jab khata hai dil
kuchh na puchho dil baDi mushkil se ban pata hai dil
'ishq mein dhoke pe dhoke roz kyun khata hai dil
un ki baaton mein na jaane kyun ye aa jata hai dil
kaT gai ek 'umr is ifham aur tafhim mein
dil ko samjhata hun main aur mujh ko samjhata hai dil
fasl-e-gul mein sab to KHandan hain magar giryan hun main
jab taDap uThti hai bijli yaad aa jata hai dil
ek wo din the mohabbat se tha lutf-e-zindagi
ab to nam-e-'ishq se bhi saKHt ghabraata hai dil
kuchh na hum ko 'ilm rasta ka na manzil ki KHabar
ja rahe hain bas jidhar hum ko liye jata hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.