aaina samne rakh kar ye tamasha dekha
ā.īna sāmne rakh kar ye tamāsha dekhā
apnī sūrat meñ tire husn kā jalva dekhā
sajda karne lage jhuk-jhuk ke malak aadam ko
nuur peshānī pe terā jo chamaktā dekhā
hai haqīqat meñ bashar qatra-e-nā-chīz magar
mo.jazan ham ne usī qatra meñ dariyā dekhā
jalva-farmā huā vo bahr-e-latāfat dil meñ
ham ne kuuze meñ samāte hue dariyā dekhā
qatl kar ke mujhe kis naaz se farmāte haiñ
kisī ma'ashūq pe marne kā tamāshā dekhā
vahī ā’rif hai vahī mard-e-ḳhudā hai 'mohsin'
jis ne qatre meñ hī dariyā kā tamāshā dekhā
aaina samne rakh kar ye tamasha dekha
apni surat mein tere husn ka jalwa dekha
sajda karne lage jhuk-jhuk ke malak aadam ko
nur peshani pe tera jo chamakta dekha
hai haqiqat mein bashar qatra-e-na-chiz magar
mojazan hum ne usi qatra mein dariya dekha
jalwa-farma hua wo bahr-e-latafat dil mein
hum ne kuze mein samate hue dariya dekha
qatl kar ke mujhe kis naz se farmate hain
kisi ma'ashuq pe marne ka tamasha dekha
wahi aa’rif hai wahi mard-e-KHuda hai 'mohsin'
jis ne qatre mein hi dariya ka tamasha dekha
- Book : Kulliyat-e-Mohsin
- Author : Shah Mohsin Danapuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.