aaj kī baat phir nahīñ hogī
ye mulāqāt phir nahīñ hogī
aise bādal to phir bhī ā.eñge
aisī barsāt phir nahīñ hogī
raat un ko bhī yuuñ huā mahsūs
jaise ye raat phir nahīñ hogī
ik nazar muḌ ke dekhne vaale
kyā ye ḳhairāt phir nahīñ hogī
shab-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
ho bhī to mere ghar nahīñ hotī
zindagī tū hī muḳhtasar ho jā
shab-e-ġham muḳhtasar nahīñ hotī
rāz-dāroñ se bach ke chaltā huuñ
ġham-gusāroñ se bach ke chaltā huuñ
mujh ko dhoka diyā sahāroñ ne
ab sahāroñ se bach ke chaltā huuñ
maiñ ne mā'sūm bahāroñ meñ tumheñ dekhā hai
maiñ ne pur-nūr sitāroñ meñ tumheñ dekhā hai
mere mahbūb terī parda-nashīnī kī qasam
maiñ ne ashkoñ kī qatāroñ meñ tumheñ dekhā hai
ham butoñ se jo pyaar karte haiñ
naql-e-parvardigār karte haiñ
itnī qasmeñ na khaao ghabrā kar
jaao ham e'tibār karte haiñ
ab bhī aa jaao kuchh nahīñ bigḌā
ab bhī ham intizār karte haiñ
sāz-e-hastī bajā rahā huuñ maiñ
chashm-e-mastī manā rahā huuñ maiñ
kyā adā hai nisār hone kī
in se pahlū bachā rahā huuñ maiñ
kitnī puḳhta hai merī nādānī
tujh ko tujh se chhupā rahā huuñ maiñ
dil Dubotā huuñ chashm-e-sāqī meñ
mai ko mai meñ milā rahā huuñ maiñ
na ham samjhe na tum aa.e kahīñ se
pasīna pochhiye apnī jabīñ se
aaj ki baat phir nahin hogi
ye mulaqat phir nahin hogi
aise baadal to phir bhi aaenge
aisi barsat phir nahin hogi
raat un ko bhi yun hua mahsus
jaise ye raat phir nahin hogi
ek nazar muD ke dekhne wale
kya ye KHairaat phir nahin hogi
shab-e-gham ki sahar nahin hoti
ho bhi to mere ghar nahin hoti
zindagi tu hi muKHtasar ho ja
shab-e-gham muKHtasar nahin hoti
raaz-daron se bach ke chalta hun
gham-gusaron se bach ke chalta hun
mujh ko dhoka diya sahaaron ne
ab sahaaron se bach ke chalta hun
main ne ma'sum bahaaron mein tumhein dekha hai
main ne pur-nur sitaron mein tumhein dekha hai
mere mahbub teri parda-nashini ki qasam
main ne ashkon ki qataron mein tumhein dekha hai
hum buton se jo pyar karte hain
naql-e-parwardigar karte hain
itni qasmen na khao ghabra kar
jao hum e'tibar karte hain
ab bhi aa jao kuchh nahin bigDa
ab bhi hum intizar karte hain
saz-e-hasti baja raha hun main
chashm-e-masti mana raha hun main
kya ada hai nisar hone ki
in se pahlu bacha raha hun main
kitni puKHta hai meri nadani
tujh ko tujh se chhupa raha hun main
dil Dubota hun chashm-e-saqi mein
mai ko mai mein mila raha hun main
na hum samjhe na tum aae kahin se
pasina pochhiye apni jabin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.