māñgeñge ab ye dil se du'ā ham uThā ke haath
ho duur iztirāb ye sab hai ḳhudā ke haath
mil jaa.e mushtarī jo koī qadar-dāñ hameñ
becheñge naqd-e-dil kisī ahl-e-vafā ke haath
ik bose ke savāl pe allāh re hijāb
nāz-o-hayā se rakh liye muñh par hayā ke haath
hogā kisī kā ḳhuun ishāra yahī to hai
dikhlā rahe haiñ duur se rañg-e-hinā ke haath
māñgī zakāt-e-husn jo ham ne to kyā huā
vaqt-e-savāl uThte haiñ aksar gadā ke haath
hotā hai us ke kūche meñ nāma-baroñ kā ḳhuuñ
bhejeñge ḳhat-e-shauq ko bād-e-sabā ke haath
karatā hai ek vaar meñ chaurañg saikḌoñ
qātil ko bhī ḳhudā ne diye haiñ qazā ke haath
jaage mire nasīb shab-e-vasl is tarah
sote meñ vo uThāte haiñ mujh ko hilā ke haath
muTThī meñ le ke dil merā pāmāl kar diyā
māñgā jo maiñ ne hañs diye ḳhālī dikhā ke haath
āñkhoñ pe terī kyuuñ na tasadduq ho jān-o-dil
bachtā hai koī aake bhī tīr-e-qazā ke haath
Das le ye nāganī use uljhā ke daam meñ
ājāye gar koī tirī zulf-e-dotā ke haath
jaatā nahīñ hai dard jo 'ishq-e-butāñ se ho
rakh de agar masīh bhī aakar shifā ke haath
ik sham.a-rū ke 'ishq meñ parvāna ban ga.e
aa.egī ham ko maut dil-e-mubtalā ke haath
rū-e-zamīñ pe jaur falak se niDar na ho
bachtā nahīñ vo daana jo ho āsiyā ke haath
bahr-e-gunah meñ ġharq huuñ kar rahm ai rahīm
kashtī hamārī paar lagānā ḳhudā ke haath
mastī meñ siine se kabhī āñchal sarak gayā
kis naaz se chhupāte haiñ donoñ uThā ke haath
naale hamāre turfa tamāsha dikhā.eñge
paalā hai mudda'ā kā jo āh-e-rasā ke haath
'ushshāq ke diloñ se ravāñ hogā cell ḳhuuñ
lā.eñge ḳhuub rañg ye un ke hinā ke haath
aa.e vo be-bulā.e huī kaisī mustajāb
māñgī thī ham ne dil se du'ā ye uThā ke haath
nādim ham apne jurm-o-ma'āsī pe ye hue
niklī na muñh se baat na uThe du'ā ke haath
'ājiz' kī jaan husn-parastī meñ jā.egī
mahshar meñ aabrū hai shafī.a al-varā ke haath
mangenge ab ye dil se du'a hum uTha ke hath
ho dur iztirab ye sab hai KHuda ke hath
mil jae mushtari jo koi qadar-dan hamein
bechenge naqd-e-dil kisi ahl-e-wafa ke hath
ek bose ke sawal pe allah re hijab
naz-o-haya se rakh liye munh par haya ke hath
hoga kisi ka KHun ishaara yahi to hai
dikhla rahe hain dur se rang-e-hina ke hath
mangi zakat-e-husn jo hum ne to kya hua
waqt-e-sawal uThte hain aksar gada ke hath
hota hai us ke kuche mein nama-baron ka KHun
bhejenge KHat-e-shauq ko baad-e-saba ke hath
karata hai ek war mein chaurang saikDon
qatil ko bhi KHuda ne diye hain qaza ke hath
jage mere nasib shab-e-wasl is tarah
sote mein wo uThate hain mujh ko hila ke hath
muTThi mein le ke dil mera pamal kar diya
manga jo main ne hans diye KHali dikha ke hath
aankhon pe teri kyun na tasadduq ho jaan-o-dil
bachta hai koi aake bhi tir-e-qaza ke hath
Das le ye nagani use uljha ke dam mein
aajaye gar koi teri zulf-e-dota ke hath
jata nahin hai dard jo 'ishq-e-butan se ho
rakh de agar masih bhi aakar shifa ke hath
ek shama-ru ke 'ishq mein parwana ban gae
aaegi hum ko maut dil-e-mubtala ke hath
ru-e-zamin pe jaur falak se niDar na ho
bachta nahin wo dana jo ho aasiya ke hath
bahr-e-gunah mein gharq hun kar rahm ai rahim
kashti hamari par lagana KHuda ke hath
masti mein sine se kabhi aanchal sarak gaya
kis naz se chhupate hain donon uTha ke hath
nale hamare turfa tamasha dikhaenge
pala hai mudda'a ka jo aah-e-rasa ke hath
'ushshaq ke dilon se rawan hoga cell KHun
laenge KHub rang ye un ke hina ke hath
aae wo be-bulae hui kaisi mustajab
mangi thi hum ne dil se du'a ye uTha ke hath
nadim hum apne jurm-o-ma'asi pe ye hue
nikli na munh se baat na uThe du'a ke hath
'ajiz' ki jaan husn-parasti mein jaegi
mahshar mein aabru hai shafia al-wara ke hath
Source :
Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.