aankh aisi laDa gaya koi
aañkh aisī laḌā gayā koī
dil meñ āñkhoñ se āgayā koī
ho ga.e baiThe baiThe dīvāne
haa.e kyā jī lubhā gayā koī
koī nazroñ ko ab nahīñ bhātā
apnā naqsha jamā gayā koī
mujh se īmān-o-dīñ mirā lekar
un ko ḳhud meñ batā gayā koī
bātoñ bātoñ meñ chhaT ga.e ḳhud se
merī āñkhoñ meñ āgayā koī
chhup ke saare jahāñ kī āñkhoñ se
merī āñkhoñ meñ āgayā koī
kaan meñ jaane kyā kahā chupke
mast-o-be-ḳhud banā gayā koī
kaise dekhūñ kise kahāñ dekhūñ
apnā jalva dikhā gayā koī
ho gayā do jahāñ se mustaġhnī
mere jī meñ samā gayā koī
kho ke kuchh aur ho ga.e ab ham
jaam aisā pilā gayā koī
pūchhā āḳhir vo dil-navāz thā kaun
naam 'ġhausī' batā gayā koī
aankh aisi laDa gaya koi
dil mein aankhon se aagaya koi
ho gae baiThe baiThe diwane
hae kya ji lubha gaya koi
koi nazron ko ab nahin bhata
apna naqsha jama gaya koi
mujh se iman-o-din mera lekar
un ko KHud mein bata gaya koi
baaton baaton mein chhaT gae KHud se
meri aankhon mein aagaya koi
chhup ke sare jahan ki aankhon se
meri aankhon mein aagaya koi
kan mein jaane kya kaha chupke
mast-o-be-KHud bana gaya koi
kaise dekhun kise kahan dekhun
apna jalwa dikha gaya koi
ho gaya do jahan se mustaghni
mere ji mein sama gaya koi
kho ke kuchh aur ho gae ab hum
jam aisa pila gaya koi
puchha aaKHir wo dil-nawaz tha kaun
nam 'ghausi' bata gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.