aankh laDne ka bahana ho gaya
aañkh laḌne kā bahāna ho gayā
le ke dil koī ravāna ho gayā
chun rahā hai tinke kuue yaar ke
aaj dīvāna siyānā ho gayā
uñgliyoñ se log batlāne lage
ab mirā ghar ghar fasāna ho gayā
roz haiñ tiir sitam us par bapā
dil nahīñ ġham kā nishāna ho gayā
phañs gayā dil paḌ ga.ī jis kī nigāh
zulf kyā hai qaid-ḳhāna ho gayā
aañkh se parda duī kā uTh gayā
aaj begāna yagāna ho gayā
bekasoñ kī qabr par dekho to aaj
abr-e-rahmat shāmiyāna ho gayā
dil nahīñ hai aaj pahlū meñ mire
kaun pahlū se ravāna ho gayā
us ke kūcha meñ lagā bistar mirā
kūcha gardūñ kā Thikāna ho gayā
minnatoñ se aa.e vo dil meñ mire
aaj raushan āshiyāna ho gayā
chal base ab hazrat-e-'ġhausī' kahāñ
muddateñ guzrīñ zamāna ho gayā
aankh laDne ka bahana ho gaya
le ke dil koi rawana ho gaya
chun raha hai tinke kue yar ke
aaj diwana siyana ho gaya
ungliyon se log batlane lage
ab mera ghar ghar fasana ho gaya
roz hain tir sitam us par bapa
dil nahin gham ka nishana ho gaya
phans gaya dil paD gai jis ki nigah
zulf kya hai qaid-KHana ho gaya
aankh se parda dui ka uTh gaya
aaj begana yagana ho gaya
bekason ki qabr par dekho to aaj
abr-e-rahmat shamiyana ho gaya
dil nahin hai aaj pahlu mein mere
kaun pahlu se rawana ho gaya
us ke kucha mein laga bistar mera
kucha gardun ka Thikana ho gaya
minnaton se aae wo dil mein mere
aaj raushan aashiyana ho gaya
chal base ab hazrat-e-'ghausi' kahan
muddaten guzrin zamana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.