aankh pai hai hasinon ne laDane ke liye
aañkh paa.ī hai hasīnoñ ne laḌāne ke liye
dil diyā jis ne hameñ naaz uThāne ke liye
tum jo tajvīz-e-ajal meñ sitam-ārā Thahre
merī tā'līq huī rañj uThāne ke liye
kyā kahā phir kaho yaktā-e-zamāna ham haiñ
ā.īna kahiye uThā lā.ūñ dikhāne ke liye
aap ko chhoḌ ke maiñ aur ko chāhūñ tauba
aap kyā kam haiñ mire dil ko satāne ke liye
shikva-e-ranj-o-alam terā 'abas hai ‘mahzūñ’
dil hai aane ke liye jaan hai jaane ke liye
aankh pai hai hasinon ne laDane ke liye
dil diya jis ne hamein naz uThane ke liye
tum jo tajwiz-e-ajal mein sitam-ara Thahre
meri ta'liq hui ranj uThane ke liye
kya kaha phir kaho yakta-e-zamana hum hain
aaina kahiye uTha laun dikhane ke liye
aap ko chhoD ke main aur ko chahun tauba
aap kya kam hain mere dil ko satane ke liye
shikwa-e-ranj-o-alam tera 'abas hai ‘mahzun’
dil hai aane ke liye jaan hai jaane ke liye
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.