aankh wala tere joban ka tamasha dekhe
aañkh vaalā tire joban kā tamāshā dekhe
dīda-e-kor ko kyā aa.e nazar kyā dekhe
rū-e-rañgīñ jo tirā au gul-e-rā’anā dekhe
phir na gulshan kī taraf bulbul-e-shaidā dekhe
dil agar dīda-e-vahdat se tamāshā dekhe
juz meñ kul aa.e nazar qatre meñ dariyā dekhe
chashma-e-lab ko tire dekhte haiñ yuuñ 'āshiq
duur se nahr ko jaise koī pyāsā dekhe
chuTkiyāñ rashk ne liiñ dil meñ hamāre qātil
Daab meñ 'āshiq-o-mā'shūq jo ik jā dekhe
chashm-e-majnūñ se agar parda-e-ġhaflat uTh jaa.e
apne dil hī meñ jamāl-e-ruḳh-e-lailā dekhe
kyā rakheñ ḳhizr se ham chashm-e-hidāyat ai dil
ki nahīñ dasht-e-mohabbat kā vo rasta dekhe
maiñ huuñ ai qais vo majnūñ ki ba-chashm-e-hairat
phaaḌ kar parda-e-mahmil mujhe lailā dekhe
tujh se ai nāseh-e-nādāñ ye samajhne kā nahīñ
aur koī dil-e-be-tāb ko samjhā dekhe
koī fardā bhī na fardā qiyāmat niklā
aate jaate bahut in āñkhoñ se fardā dekhe
mujh ko hañgāma-e-mahshar kā yaqīñ hai vā'iz
us ke kūche meñ ye hañgāma koī jā dekhe
intizār us kā na dīdoñ ko kahīñ le Duube
kab tak ai yaar kisī kā koī rasta dekhe
shahsavārī-e-suḳhan kā jise da'ava ho 'asar'
taosan-e-tab’ mire sāmne chamkā dekhe
aankh wala tere joban ka tamasha dekhe
dida-e-kor ko kya aae nazar kya dekhe
ru-e-rangin jo tera au gul-e-ra’ana dekhe
phir na gulshan ki taraf bulbul-e-shaida dekhe
dil agar dida-e-wahdat se tamasha dekhe
juz mein kul aae nazar qatre mein dariya dekhe
chashma-e-lab ko tere dekhte hain yun 'ashiq
dur se nahr ko jaise koi pyasa dekhe
chuTkiyan rashk ne lin dil mein hamare qatil
Dab mein 'ashiq-o-ma'shuq jo ek ja dekhe
chashm-e-majnun se agar parda-e-ghaflat uTh jae
apne dil hi mein jamal-e-ruKH-e-laila dekhe
kya rakhen KHizr se hum chashm-e-hidayat ai dil
ki nahin dasht-e-mohabbat ka wo rasta dekhe
main hun ai qais wo majnun ki ba-chashm-e-hairat
phaD kar parda-e-mahmil mujhe laila dekhe
tujh se ai naseh-e-nadan ye samajhne ka nahin
aur koi dil-e-be-tab ko samjha dekhe
koi farda bhi na farda qiyamat nikla
aate jate bahut in aankhon se farda dekhe
mujh ko hangama-e-mahshar ka yaqin hai wa'iz
us ke kuche mein ye hangama koi ja dekhe
intizar us ka na didon ko kahin le Dube
kab tak ai yar kisi ka koi rasta dekhe
shahsawari-e-suKHan ka jise da'awa ho 'asar'
taosan-e-tab’ mere samne chamka dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.