dil ki duniya basi ki basi hi rahi ek gaya dusra apne ghar rah gaya
dil ki duniya basi ki basi hi rahi ek gaya dusra apne ghar rah gaya
Aaqil Revarhvi
MORE BYAaqil Revarhvi
dil kī duniyā basī kī basī hī rahī ik gayā dūsrā apne ghar rah gayā
aah niklī to ābād ġham ho ga.e ġham jo niklā to dard-e-jigar rah gayā
tū butoñ meñ phañsā maiñ ġham-e-dahr meñ apnī manzil pe ai dil na pahuñchā koī
kaun kis se bhalā ab shikāyat kare tū idhar rah gayā maiñ udhar rah gayā
is ko kahte haiñ qismat kī nākāmiyāñ zindagī bhar kī mehnat huī rā.egāñ
haaye TuuTe haiñ pā-e-talab bhī kahāñ do qadam un kā jab sañg-e-dar rah gayā
zaḳhm khā khā ke qalb-o-jigar chuur haiñ saiñkaḌoñ jā-ba-jā dil meñ nāsūr haiñ
ab batā.eñ to āḳhir batā.eñ hī kyā kis taraf un kā tīr-e-nazar rah gayā
nabzeñ chhuTne ko haiñ dam nikalne ko hai qāfila zindagānī kā chalne ko hai
haaye sunñe bhī kis vaqt aa.e haiñ vo qissa-e-ġham hī jab muḳhtasar rah gayā
aabrū āñso.oñ ne bachā.ī mirī baat bigḌī huī sab banā.ī mirī
jitne naqsh-e-duī the vo sab miT ga.e tū hī tū sirf payash-e-nazar rah gayā
sozish-e-dil ke baare meñ kuchh aur hī kar rahe haiñ tabīb apnī rāyezanī
maiñ to samjhā huuñ 'āqil' kahīñ na kahīñ TuuT kar un kā tīr-e-nazar rah gayā
dil ki duniya basi ki basi hi rahi ek gaya dusra apne ghar rah gaya
aah nikli to aabaad gham ho gae gham jo nikla to dard-e-jigar rah gaya
tu buton mein phansa main gham-e-dahr mein apni manzil pe ai dil na pahuncha koi
kaun kis se bhala ab shikayat kare tu idhar rah gaya main udhar rah gaya
is ko kahte hain qismat ki nakaamiyan zindagi bhar ki mehnat hui raegan
haye TuTe hain pa-e-talab bhi kahan do qadam un ka jab sang-e-dar rah gaya
zaKHm kha kha ke qalb-o-jigar chur hain sainkaDon ja-ba-ja dil mein nasur hain
ab bataen to aaKHir bataen hi kya kis taraf un ka tir-e-nazar rah gaya
nabzen chhuTne ko hain dam nikalne ko hai qafila zindagani ka chalne ko hai
haye sunne bhi kis waqt aae hain wo qissa-e-gham hi jab muKHtasar rah gaya
aabru aansoon ne bachai meri baat bigDi hui sab banai meri
jitne naqsh-e-dui the wo sab miT gae tu hi tu sirf payash-e-nazar rah gaya
sozish-e-dil ke bare mein kuchh aur hi kar rahe hain tabib apni rayezani
main to samjha hun 'aqil' kahin na kahin TuT kar un ka tir-e-nazar rah gaya
- Book : Kalaam-e-Aaqil-o-Saudai (Pg. 76)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.