gham mein jita hun tere hijr mein marta hun main
ġham meñ jiitā huuñ tire hijr meñ martā huuñ maiñ
ḳhud hī bīmār huuñ aur ḳhud hī masīhā huuñ meñ
rāz-e-kun aur fayakūñ hai mere siine meñ
ek qatra huuñ magar hāsil dariyā huuñ maiñ
tū to mujh meñ hai nihāñ ab ye huā hai ma.alūm
apnī hastī ko baḌī der meñ samjhā huuñ maiñ
maiñ jo hotā huuñ to tū hotā nahīñ paas mare
tū jo hotā hai to ḳhud ko nahīñ paatā huuñ maiñ
sajda-e-shauq farishtoñ ne kiyā thā mujh ko
dekh le charḳh vahī ḳhaak aag kā putlā huuñ maiñ
aa mere bigḌe hue vaqt kā sāthī ban jā
rāh-e-ulfat meñ tirī dekh akelā huuñ maiñ
gham mein jita hun tere hijr mein marta hun main
KHud hi bimar hun aur KHud hi masiha hun mein
raaz-e-kun aur fayakun hai mere sine mein
ek qatra hun magar hasil dariya hun main
tu to mujh mein hai nihan ab ye hua hai malum
apni hasti ko baDi der mein samjha hun main
main jo hota hun to tu hota nahin pas mare
tu jo hota hai to KHud ko nahin pata hun main
sajda-e-shauq farishton ne kiya tha mujh ko
dekh le charKH wahi KHak aag ka putla hun main
aa mere bigDe hue waqt ka sathi ban ja
rah-e-ulfat mein teri dekh akela hun main
- Book : Kalaam-e-Aaqil-o-Saudai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.