Sufinama

barq chamki chaman wale dushman hue chaar tinke bujhana ghazab ho gaya

Aaqil Revarhvi

barq chamki chaman wale dushman hue chaar tinke bujhana ghazab ho gaya

Aaqil Revarhvi

MORE BYAaqil Revarhvi

    barq chamkī chaman vaale dushman hue chaar tinke bujhānā ġhazab ho gayā

    chand phūloñ meñ ai ham-nashīno mirā āshiyāna banānā ġhazab ho gayā

    paḌ ga.e jā-ba-jā dil pe nāsūr-e-ġham rāh-e-ulfat meñ aanā ġhazab ho gayā

    kaT rahī thī baḌī pur-sukūñ zindagī un se nazreñ milānā ġhazab ho gayā

    thī na jab tak mujhe do jahāñ ḳhabar un ke zaanū pe rakhe hue thā maiñ sar

    maiñ jo sambhālā kuchh mutma.in ho ga.e hosh meñ merā aanā ġhazab ho gayā

    hijr aag siine meñ jalne lagī ārzūoñ sham.a pighalne lagī

    zindagī ġham ke sāñche meñ Dhalne lagī raaz ulfat chhupānā ġhazab ho gayā

    maiñ na bahkā thā jab ye aalam rahā daur chaltā jaam chaltā rahā

    maiñ jo bahkā saaqī ne piine na jhuum kar laḌkhaḌānā ġhazab ho gayā

    merī hastī banī aur bigaḌ bhī ga.ī ek duniyā basī aur ujaḌ bhī ga.ī

    de ga.e umr bhar ko vo dāġh-e-alam do ghaḌī muskurānā ġhazab ho gayā

    Dūbtā rahā thā safīna mirā bahr-e-ġham meñ baḌe mutma.in taur se

    vo jo aa.e irāda badalnā paḌā un sāhil pe aanā ġhazab ho gayā

    miT ga.e naqsh kho ga.e kārvāñ chhup ga.e gard meñ rāstoñ ke nishāñ

    jaake manzil pe josh ḳhushī meñ mirā ḳhaak manzil uḌānā ġhazab ho gayā

    be piye shaiḳh sāhib bahakne lage ġham ke maare jigar thaam kar rah ga.e

    ai amānullah terā bharī bazm meñ sher 'āqil' gaanā ġhazab gayā

    barq chamki chaman wale dushman hue chaar tinke bujhana ghazab ho gaya

    chand phulon mein ai ham-nashino mera aashiyana banana ghazab ho gaya

    paD gae ja-ba-ja dil pe nasur-e-gham rah-e-ulfat mein aana ghazab ho gaya

    kaT rahi thi baDi pur-sukun zindagi un se nazren milana ghazab ho gaya

    thi na jab tak mujhe do jahan ki KHabar un ke zanu pe rakhe hue tha main sar

    main jo sambhaala tu kuchh mutmain ho gae hosh mein merā aana ghazab ho gaya

    hijr ki aag sine mein jalne lagi aarzuon ki shama pighalne lagi

    zindagi gham ke sanche mein Dhalne lagi raaz ulfat chhupana ghazab ho gaya

    main na bahka tha jab ye aalam raha daur chalta jam chalta raha

    main jo bahka tu saqi ne pine na di jhum kar laDkhaDana ghazab ho gaya

    meri hasti bani aur bigaD bhi gai ek duniya basi aur ujaD bhi gai

    de gae umr bhar ko wo dagh-e-alam do ghaDi muskurana ghazab ho gaya

    Dubta ja raha tha safina mera bahr-e-gham mein baDe mutmain taur se

    wo jo aae irada badalna paDa un ka sahil pe aana ghazab ho gaya

    miT gae naqsh kho gae karwan chhup gae gard mein raston ke nishan

    jake manzil pe josh KHushi mein mera KHak manzil uDana ghazab ho gaya

    be piye shaiKH sahib bahakne lage gham ke mare jigar tham kar rah gae

    ai amanullah tera bhari bazm mein sher 'aqil' ka gana ghazab gaya

    Source :
    • Book : Sub'he Baaraa'n (Pg. 38)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now