aafat meñ paḌe dard ke iz.hār se ham aur
yaad aa ga.e bhūle hue kuchh us ko sitam aur
tāḳhīr kī buniyād hai ḳhud ’ujlat-e-be-jā
jaldī hai jo likhne kī to ruktā hai qalam aur
jo baat hai kal kī use ab kah nahīñ sakte
haañ aaj to ye sach hai ki tum aur ho ham aur
zāhid mire dāman pe na rakh muft kī tohmat
haath aur pasījegā to ho jā.egā nam aur
jannat bhī jahannam bhī ġharīb-ul-vatanī meñ
yā-rab yahīñ mere liye banvā de iram aur
hastī to 'adam se hai milā.e hue har saañs
kholo na kamar ko ki hai vaqfa koī dam aur
ik farq musammā hai agar us ko miTā do
hastī na koī shai hai judā aur na 'adam aur
tai hotī hai kis tarah ilāhī mirī manzil
baḌhtā huuñ jab aage to larazte haiñ qadam aur
nāseh kī malāmat pe huuñ ḳhāmosh ki āḳhir
kuchh maiñ bhī jo kahtā huuñ to khultā hai bhram aur
bhulāne ko dil 'aish-e-guzashta na burā thā
lekin ye na samajhte the ki baḌh jā.egā ġham aur
jāñkāhiyoñ meñ hijr kī de saktī hai kyā saath
ye 'umr-e-do-roza ki huī jaatī hai kam aur
aafat mein paDe dard ke izhaar se hum aur
yaad aa gae bhule hue kuchh us ko sitam aur
taKHir ki buniyaad hai KHud ’ujlat-e-be-ja
jaldi hai jo likhne ki to rukta hai qalam aur
jo baat hai kal ki use ab kah nahin sakte
han aaj to ye sach hai ki tum aur ho hum aur
zahid mere daman pe na rakh muft ki tohmat
hath aur pasijega to ho jaega nam aur
jannat bhi jahannam bhi gharib-ul-watani mein
ya-rab yahin mere liye banwa de iram aur
hasti to 'adam se hai milae hue har sans
kholo na kamar ko ki hai waqfa koi dam aur
ek farq musamma hai agar us ko miTa do
hasti na koi shai hai juda aur na 'adam aur
tai hoti hai kis tarah ilahi meri manzil
baDhta hun jab aage to larazte hain qadam aur
naseh ki malamat pe hun KHamosh ki aaKHir
kuchh main bhi jo kahta hun to khulta hai bhram aur
bhulane ko dil 'aish-e-guzashta na bura tha
lekin ye na samajhte the ki baDh jaega gham aur
jaankahiyon mein hijr ki de sakti hai kya sath
ye 'umr-e-do-roza ki hui jati hai kam aur
Source :
- Book : Nairang-e-Khayaal (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.